gum unhin main hun un ka dhyan kab nahin aata
gum unhin main hun un ka dhyan kab nahin aata
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
gum unhīñ maiñ huuñ un kā dhyān kab nahīñ aatā
yaad unheñ bhulāne kā koī Dhab nahīñ aatā
zabt-e-girya kī talqīñ ḳhatm kar bas ai hamdam
baat baat par ronā be-sabab nahīñ aatā
kis pe jaan detā huuñ raaz hī meñ rahne de
naam us dil-ārā kā tā-ba-lab nahīñ aatā
kyā kahūñ use pahle dekhtā thā kis Dhab se
jo hasīñ nazar mujh ko aah ab nahīñ aatā
jitne bāda-ḳhvār aa.e tālib-e-nashāt aa.e
sāqiyā koī mujh sā haq talab nahīñ aatā
itne ġhamgusāroñ se shaad kyā ho vo ġhamgīñ
ġham bhī jis ke hisse meñ sab kā sab nahīñ aatā
terī kam-nigāhī kā talab khīñch laatā hai
sāmne tire maiñ ḳhud be-sabab nahīñ aatā
rashk-e-ġhair ai 'manzūr' aise vaqt aatā hai
dost ke tasavvur meñ dost jab nahīñ aatā
gum unhin main hun un ka dhyan kab nahin aata
yaad unhen bhulane ka koi Dhab nahin aata
zabt-e-girya ki talqin KHatm kar bas ai hamdam
baat baat par rona be-sabab nahin aata
kis pe jaan deta hun raaz hi mein rahne de
nam us dil-ara ka ta-ba-lab nahin aata
kya kahun use pahle dekhta tha kis Dhab se
jo hasin nazar mujh ko aah ab nahin aata
jitne baada-KHwar aae talib-e-nashat aae
saqiya koi mujh sa haq talab nahin aata
itne ghamgusaron se shad kya ho wo ghamgin
gham bhi jis ke hisse mein sab ka sab nahin aata
teri kam-nigahi ka talab khinch lata hai
samne tere main KHud be-sabab nahin aata
rashk-e-ghair ai 'manzur' aise waqt aata hai
dost ke tasawwur mein dost jab nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.