guman hai ki wahm hai ki hai chhalawa sa
gumān hai ki vahm hai ki hai chhalāvā sā
ye kaun hai mire dil meñ tire alāva sā
zamīn le ke mujhe ghūmtī rahī lekin
kahīñ milā na mire dard kā mudāvā sā
kasauTiyoñ pe parakhne se sach nikaltā hai
dalīl meñ tirī kuchh bhī nahīñ hai da.avā sā
bichhaḌte vaqt tirī aañkh meñ bhī aañsū the
nikal rahā thā mirī aañkh se bhī laavā sā
havā meñ jazb hai ḳhushbū kisī ke gesū kī
kisī kī or se shāyad hai ye bulāvā sā
ab āb-dār nahīñ hai kisī kī hastī bhī
sharāfatoñ ke bhī chehroñ pe hai dikhāvā sā
guman hai ki wahm hai ki hai chhalawa sa
ye kaun hai mere dil mein tere alawa sa
zamin le ke mujhe ghumti rahi lekin
kahin mila na mere dard ka mudawa sa
kasauTiyon pe parakhne se sach nikalta hai
dalil mein teri kuchh bhi nahin hai dawa sa
bichhaDte waqt teri aankh mein bhi aansu the
nikal raha tha meri aankh se bhi lawa sa
hawa mein jazb hai KHushbu kisi ke gesu ki
kisi ki or se shayad hai ye bulawa sa
ab aab-dar nahin hai kisi ki hasti bhi
sharafaton ke bhi chehron pe hai dikhawa sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.