guman jitna tha sara guman TuT gaya
gumān jitnā thā saarā gumān TuuT gayā
ġham-e-firāq meñ dil kā makān TuuT gayā
tumheñ malāl hai bas chhat ke baiTh jaane kā
hamāre sar pe to ik āsmān TuuT gayā
tirī anā ko bhī taskīn mil ga.ī hogī
jo sahte sahte sitam be-zabān TuuT gayā
tire mazāq kī halkī sī ek Thokar se
dayār-e-ashk kā ik martabān TuuT gayā
maiñ rāh-e-ishq meñ ab aur chal na pā.ūñgā
jo hausla hī mirā merī jaan TuuT gayā
parinda dil kā kahāñ jā ke 'ārzū' baiThe
mohabbatoñ kā jo har-sū machān TuuT gayā
guman jitna tha sara guman TuT gaya
gham-e-firaq mein dil ka makan TuT gaya
tumhein malal hai bas chhat ke baiTh jaane ka
hamare sar pe to ek aasman TuT gaya
teri ana ko bhi taskin mil gai hogi
jo sahte sahte sitam be-zaban TuT gaya
tere mazaq ki halki si ek Thokar se
dayar-e-ashk ka ek martaban TuT gaya
main rah-e-ishq mein ab aur chal na paunga
jo hausla hi mera meri jaan TuT gaya
parinda dil ka kahan ja ke 'arzu' baiThe
mohabbaton ka jo har-su machan TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.