guman ki mad mein yaqini KHasara karta hun
gumāñ kī mad meñ yaqīnī ḳhasāra kartā huuñ
nahīñ hai koī to kis ko pukārā kartā huuñ
ye zindagī ki mujhe nā-murād kartī hai
vo khel hai ki musalsal maiñ haarā kartā huuñ
nihāñ hai lamha-e-maujūd meñ ḳhudā sā koī
maiñ guzre vaqt pe lekin guzārā kartā huuñ
'ajīb bhed hai khul kar bhī kuchh nahīñ khultā
so āsmāñ ko tirā isti'āra kartā huuñ
vo mauj-e-sabz kuchh is tarh chhū ke guzrī thī
maiñ apne aap se ab tak kināra kartā huuñ
guman ki mad mein yaqini KHasara karta hun
nahin hai koi to kis ko pukara karta hun
ye zindagi ki mujhe na-murad karti hai
wo khel hai ki musalsal main haara karta hun
nihan hai lamha-e-maujud mein KHuda sa koi
main guzre waqt pe lekin guzara karta hun
'ajib bhed hai khul kar bhi kuchh nahin khulta
so aasman ko tera isti'ara karta hun
wo mauj-e-sabz kuchh is tarh chhu ke guzri thi
main apne aap se ab tak kinara karta hun
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 33)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.