guman mein bhi na tha kashtiyan jalate hue
gumān meñ bhī na thā kashtiyāñ jalāte hue
ki phir se 'umr lagegī inheñ banāte hue
tū jaan lenā ki aañsū chhupā rahā hogā
agar vo muḌ ke na dekhe yahāñ se jaate hue
maiñ us kī qabr pe katba lagā ke aaya huuñ
jo miT gayā mirā nām-o-nishāñ miTāte hue
maiñ apne ḳhvāb meñ hotā huuñ muḳhtalif 'fahmī'
ye dhyān rakhnā mujhe niiñd se jagāte hue
guman mein bhi na tha kashtiyan jalate hue
ki phir se 'umr lagegi inhen banate hue
tu jaan lena ki aansu chhupa raha hoga
agar wo muD ke na dekhe yahan se jate hue
main us ki qabr pe katba laga ke aaya hun
jo miT gaya mera nam-o-nishan miTate hue
main apne KHwab mein hota hun muKHtalif 'fahmi'
ye dhyan rakhna mujhe nind se jagate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.