guman mein hai yaqin jaise
gumān meñ hai yaqīn jaise
ugal de sonā zamīn jaise
huuñ qaid shām-o-sahar meñ aise
sadā-ba-lab ho machine jaise
maiñ āsmāñ kī panāh meñ huuñ
zamīñ ke manzar hasīn jaise
shab-e-tamanna ke chāñd taare
hoñ apne ghar meñ makīn jaise
haiñ mere andar ke saañp bāhar
hai mere hoñToñ pe biin jaise
na koī sabza na bel-būTā
shajar hai sahrā-nashīn jaise
to mūratoñ meñ bhī jaan aa.e
jhukā de sar mah-jabīn jaise
guman mein hai yaqin jaise
ugal de sona zamin jaise
hun qaid sham-o-sahar mein aise
sada-ba-lab ho machine jaise
main aasman ki panah mein hun
zamin ke manzar hasin jaise
shab-e-tamanna ke chand tare
hon apne ghar mein makin jaise
hain mere andar ke sanp bahar
hai mere honTon pe bin jaise
na koi sabza na bel-buTa
shajar hai sahra-nashin jaise
to muraton mein bhi jaan aae
jhuka de sar mah-jabin jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.