guman mujhko tha insan ho gaya hun
gumāñ mujh ko thā insāñ ho gayā huuñ
ḳhabar kyā thī maiñ shaitāñ ho gayā huuñ
havā kuchh is tarah kī chal rahī hai
bahut andar se vīrāñ ho gayā huuñ
achānak dost hindū ho ga.e haiñ
achānak maiñ musalmāñ ho gayā huuñ
jise dekho vahī samjhā rahā hai
baḌī mushkil hai āsāñ ho gayā huuñ
safar se lauT kar aayā to paayā
maiñ apne ghar meñ mehmāñ ho gayā huuñ
koī hairat bhī ab hotī nahīñ hai
'munavvar' itnā hairāñ ho gayā huuñ
guman mujh ko tha insan ho gaya hun
KHabar kya thi main shaitan ho gaya hun
hawa kuchh is tarah ki chal rahi hai
bahut andar se viran ho gaya hun
achanak dost hindu ho gae hain
achanak main musalman ho gaya hun
jise dekho wahi samjha raha hai
baDi mushkil hai aasan ho gaya hun
safar se lauT kar aaya to paya
main apne ghar mein mehman ho gaya hun
koi hairat bhi ab hoti nahin hai
'munawwar' itna hairan ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.