guman pani ka ho aisa nahin tha
gumāñ paanī kā ho aisā nahīñ thā
vo dariyā thā koī sahrā nahīñ thā
ḳhushī bhī jaan le saktī hai ik din
zarā bhī mujh ko andāza nahīñ thā
ye dīvāreñ bahut uktā ga.ī thiiñ
inheñ ik rang meñ rahnā nahīñ thā
maiñ har pahlū se us ko sochtī thī
faqat sochā hī thā samjhā nahīñ thā
kisī darvesh kī sohbat meñ thī maiñ
mirā man yūñhī banjāra nahīñ thā
hamāre ahd kī ye ḳhāsiyat thī
darīche the pa darvāza nahīñ thā
guman pani ka ho aisa nahin tha
wo dariya tha koi sahra nahin tha
KHushi bhi jaan le sakti hai ek din
zara bhi mujh ko andaza nahin tha
ye diwaren bahut ukta gai thin
inhen ek rang mein rahna nahin tha
main har pahlu se us ko sochti thi
faqat socha hi tha samjha nahin tha
kisi darwesh ki sohbat mein thi main
mera man yunhi banjara nahin tha
hamare ahd ki ye KHasiyat thi
dariche the pa darwaza nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.