Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guman paDta yahi hai ki rahbari hui hai

Saima Aftab

guman paDta yahi hai ki rahbari hui hai

Saima Aftab

MORE BYSaima Aftab

    gumān paḌtā yahī hai ki rahbarī huī hai

    ye apnī raah kisī raah se juḌī huī hai

    hazār abr mohabbat yahāñ baras bhī chuke

    bas ek shāḳh-e-tamannā nahīñ harī huī hai

    guzishta shab se vo hai shahr meñ kahīñ maujūd

    fazā meñ ḳhushbū-e-vābastagī rachī huī hai

    milī thī ham ko ḳhudā se bahisht ke badle

    magar ye zindagī me.aar se girī huī hai

    ufuq pe phailā huā hai firāq-e-yār rañg

    udaas shaam mirī god meñ paḌī huī hai

    guman paDta yahi hai ki rahbari hui hai

    ye apni rah kisi rah se juDi hui hai

    hazar abr mohabbat yahan baras bhi chuke

    bas ek shaKH-e-tamanna nahin hari hui hai

    guzishta shab se wo hai shahr mein kahin maujud

    faza mein KHushbu-e-wabastagi rachi hui hai

    mili thi hum ko KHuda se bahisht ke badle

    magar ye zindagi mear se giri hui hai

    ufuq pe phaila hua hai firaq-e-yar ka rang

    udas sham meri god mein paDi hui hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now