guman rahta hai dil mein yaqin ke hote hue
gumān rahtā hai dil meñ yaqīñ ke hote hue
nahīñ makān pe raunaq makīñ ke hote hue
kuchh āsmāñ kī taraf dekhnā bhī lāzim thā
zamīñ pe rahte hue aur zamīñ ke hote hue
munāfiqat se hameñ bhī shadīd nafrat thī
butoñ ko rakhā nahīñ āstīñ ke hote hue
koī junūn to sar meñ na thā magar ham bhī
lahūluhān rahe is jabīñ ke hote hue
kisī bhī haal meñ TuuTe na rabt duniyā se
yaqīñ ke hote hue aur diiñ ke hote hue
guman rahta hai dil mein yaqin ke hote hue
nahin makan pe raunaq makin ke hote hue
kuchh aasman ki taraf dekhna bhi lazim tha
zamin pe rahte hue aur zamin ke hote hue
munafiqat se hamein bhi shadid nafrat thi
buton ko rakha nahin aastin ke hote hue
koi junun to sar mein na tha magar hum bhi
lahuluhan rahe is jabin ke hote hue
kisi bhi haal mein TuTe na rabt duniya se
yaqin ke hote hue aur din ke hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.