guman se dur ho aisa KHayal paida kar
gumāñ se duur ho aisā ḳhayāl paidā kar
javāb jis kā na ho vo savāl paidā kar
tujhe bhulā ke bhī sadiyāñ bhulā nahīñ saktīñ
magar ye shart hai ḳhud meñ kamāl paidā kar
ḳhalish hai dil meñ to phir lazzat-e-hayāt bhī hai
agar nahīñ hai to koī malāl paidā kar
tamām ālam-e-imkāñ meñ husn hai terā
jo tū nahīñ hai to koī misāl paidā kar
sambhālne ko zarūrī hai TūTnā dil kā
agar shikasta nahīñ hai to baal paidā kar
vo din bhī aa.egā bolegā muñh se fan terā
musavvirī meñ kamāl-e-jamāl paidā kar
tū apne sheroñ kī hiddat se kaam le ai 'shād'
diloñ meñ josh lahū meñ ubaal paidā kar
guman se dur ho aisa KHayal paida kar
jawab jis ka na ho wo sawal paida kar
tujhe bhula ke bhi sadiyan bhula nahin saktin
magar ye shart hai KHud mein kamal paida kar
KHalish hai dil mein to phir lazzat-e-hayat bhi hai
agar nahin hai to koi malal paida kar
tamam aalam-e-imkan mein husn hai tera
jo tu nahin hai to koi misal paida kar
sambhaalne ko zaruri hai TuTna dil ka
agar shikasta nahin hai to baal paida kar
wo din bhi aaega bolega munh se fan tera
musawwiri mein kamal-e-jamal paida kar
tu apne sheron ki hiddat se kaam le ai 'shad'
dilon mein josh lahu mein ubaal paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.