guman to Thik main kaise kahun yaqin bhi hai
guman to Thik main kaise kahun yaqin bhi hai
Khawaja Javed Akhtar
MORE BYKhawaja Javed Akhtar
gumāñ to Thiik maiñ kaise kahūñ yaqīn bhī hai
ki mere paañv ke nīche kahīñ zamīn bhī hai
diloñ meñ duniyā basā.e hue to phirte ho
ḳhayāl rakhnā ki duniyā ke saath diin bhī hai
hamāre jaib-o-garebāñ meñ saañp kyā miltā
use ḳhabar hī nahīñ thī ki āstīn bhī hai
taras jo khā ke kisī jānvar pe shaah bane
hujūm-e-shāh meñ koī sabuktagīn bhī hai
suḳhan-shanās nahīñ zūd-go bhī hai 'jāved'
paḌhā-likhā hī nahīñ aadmī zahīn bhī hai
guman to Thik main kaise kahun yaqin bhi hai
ki mere panw ke niche kahin zamin bhi hai
dilon mein duniya basae hue to phirte ho
KHayal rakhna ki duniya ke sath din bhi hai
hamare jaib-o-gareban mein sanp kya milta
use KHabar hi nahin thi ki aastin bhi hai
taras jo kha ke kisi jaanwar pe shah bane
hujum-e-shah mein koi sabuktagin bhi hai
suKHan-shanas nahin zud-go bhi hai 'jawed'
paDha-likha hi nahin aadmi zahin bhi hai
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 100)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.