gumnam kya karoge chalo hum hi kho gae
gumnām kyā karoge chalo ham hī kho ga.e
oḌhe kafan vafā kā sukūñ pā ke so ga.e
sannāTā hotā aayā hai jin kī sadāoñ par
ḳhāmosh karne vaale hī ḳhāmosh ho ga.e
nazreñ talāsh kartī haiñ mahfil meñ ab unheñ
mahfil ko suunī chhoḌ ke mahfil se jo ga.e
vālid jo lauT aa.e to khāne ko lā.eñge
bachche is intizār meñ bhūke hī so ga.e
kaise kahūñ 'ayāz' ġhazal kis tarah kahī
har lafz apne ḳhuun meñ ham to Dubo ga.e
gumnam kya karoge chalo hum hi kho gae
oDhe kafan wafa ka sukun pa ke so gae
sannaTa hota aaya hai jin ki sadaon par
KHamosh karne wale hi KHamosh ho gae
nazren talash karti hain mahfil mein ab unhen
mahfil ko suni chhoD ke mahfil se jo gae
walid jo lauT aae to khane ko laenge
bachche is intizar mein bhuke hi so gae
kaise kahun 'ayaz' ghazal kis tarah kahi
har lafz apne KHun mein hum to Dubo gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.