gumnami hamari hai yahi nam hamara
gumnāmī hamārī hai yahī naam hamārā
āġhāz hamārā hai na anjām hamārā
sāmān-e-tavakkul hai sar-anjām hamārā
taklīf hamārī hai hai ārām hamārā
ham ishq ke bande haiñ suno shaiḳh-o-barahman
kyā tum se kaheñ kufr hai islām hamārā
sahrā meñ raheñ baaġh meñ kaahe ko chaleñ ham
gulshan meñ na ho jabki vo gulfām hamārā
baḳht apne to farḳhanda bane roz-e-azal se
kyā kar sake ab gardish-e-ayyām hamārā
islām qavī hovegā us vaqt ai 'ḳhāmosh'
jis vaqt ki ban jāvegā dil raam hamārā
gumnami hamari hai yahi nam hamara
aaghaz hamara hai na anjam hamara
saman-e-tawakkul hai sar-anjam hamara
taklif hamari hai hai aaram hamara
hum ishq ke bande hain suno shaiKH-o-barahman
kya tum se kahen kufr hai islam hamara
sahra mein rahen bagh mein kahe ko chalen hum
gulshan mein na ho jabki wo gulfam hamara
baKHt apne to farKHanda bane roz-e-azal se
kya kar sake ab gardish-e-ayyam hamara
islam qawi howega us waqt ai 'KHamosh'
jis waqt ki ban jawega dil ram hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.