gumrah kah ke pahle jo mujhse KHafa hue
gumrāh kah ke pahle jo mujh se ḳhafā hue
āḳhir vo mere naqsh-e-qadam par fidā hue
ab tak to zindagī se ta.āruf na thā koī
tum se mile to ziist se bhī āshnā hue
aisā nahīñ ki dil hī muqābil nahīñ rahā
tīr-e-nigāh-e-nāz bhī aksar ḳhatā hue
merī nazar ne tum ko jamāl-āshnā kiyā
mujh ko du'ā.eñ do ki tum ik aa.ina hue
kyā hogā is se baḌh ke koī rabt-e-bāhamī
manzil hamārī vo to ham un kā patā hue
ab kyā batā.eñ kis kī nigāhoñ kī den thī
vo mai ki jis ke piite hī ham pārsā hue
suntā huuñ ik maqām-e-ziyārat hai aaj kal
vo zindagī kā moḌ jahāñ ham judā hue
vo aa ga.e davā-e-ġham-e-jāñ liye hue
lo aaj ham bhī qā.il-e-dast-e-duā hue
kab zindagī ne ham ko navāzā nahīñ 'hafīz'
kab ham pe bāb-e-lutf-o-ināyāt na vā hue
gumrah kah ke pahle jo mujh se KHafa hue
aaKHir wo mere naqsh-e-qadam par fida hue
ab tak to zindagi se taaruf na tha koi
tum se mile to zist se bhi aashna hue
aisa nahin ki dil hi muqabil nahin raha
tir-e-nigah-e-naz bhi aksar KHata hue
meri nazar ne tum ko jamal-ashna kiya
mujh ko du'aen do ki tum ek aaina hue
kya hoga is se baDh ke koi rabt-e-bahami
manzil hamari wo to hum un ka pata hue
ab kya bataen kis ki nigahon ki den thi
wo mai ki jis ke pite hi hum parsa hue
sunta hun ek maqam-e-ziyarat hai aaj kal
wo zindagi ka moD jahan hum juda hue
wo aa gae dawa-e-gham-e-jaan liye hue
lo aaj hum bhi qail-e-dast-e-dua hue
kab zindagi ne hum ko nawaza nahin 'hafiz'
kab hum pe bab-e-lutf-o-inayat na wa hue
- Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 99)
- Author : Hafeez Banarsi
- Publication : Hafeez Banarsi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.