gunah apne apne sawab apna apna
gunāh apne apne savāb apnā apnā
kitāb apnī apnī azaab apnā apnā
muqaddar kā ronā hai kaisā ki sab ne
kiyā thā agar intiḳhāb apnā apnā
bharam bhī haiñ darkār jiine ko shāyad
ki ḳhvāb apne apne sarāb apnā apnā
naqāb apnī apnī lagā ke sabhī ne
chhupāyā sabhī ne azaab apnā apnā
milā zindagānī meñ kyā na milā kyā
lagāyā sabhī ne hisāb apnā apnā
na pūchho ki matlab hai kyā zindagī kā
savāl ek hī hai javāb apnā apnā
gunah apne apne sawab apna apna
kitab apni apni azab apna apna
muqaddar ka rona hai kaisa ki sab ne
kiya tha agar intiKHab apna apna
bharam bhi hain darkar jine ko shayad
ki KHwab apne apne sarab apna apna
naqab apni apni laga ke sabhi ne
chhupaya sabhi ne azab apna apna
mila zindagani mein kya na mila kya
lagaya sabhi ne hisab apna apna
na puchho ki matlab hai kya zindagi ka
sawal ek hi hai jawab apna apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.