gunahon ki mohabbat ghaT rahi hai
gunāhoñ kī mohabbat ghaT rahī hai
abhī gard-e-kudūrat chhaT rahī hai
hamārī pyaas ko dariyā bhī kam haiñ
magar pyāloñ meñ bas talchhaT rahī hai
sameTe phir rahe haiñ nafrateñ ham
gumāñ ye thā ki ulfat baT rahī hai
zarūrat ḳhuub mahñgī ho ga.ī hai
magar insāñ kī qīmat ghaT rahī hai
jise sun kar dhaḌaktā thā mirā dil
tire qadmoñ kī vo aahaT rahī hai
jahāñ jā kar ham aksar lauT aa.e
Dagar terī tarah panghaT rahī hai
isī meñ gum haiñ merī ārzūeñ
tire māthe kī jo silvaT rahī hai
sukūn-e-dil thā jis kā naam vo shai
na is karvaT na us karvaT rahī hai
koī pūchhe jo tum se haal 'āqib'
kaho al-hamdu-lillah kaT rahī hai
gunahon ki mohabbat ghaT rahi hai
abhi gard-e-kudurat chhaT rahi hai
hamari pyas ko dariya bhi kam hain
magar pyalon mein bas talchhaT rahi hai
sameTe phir rahe hain nafraten hum
guman ye tha ki ulfat baT rahi hai
zarurat KHub mahngi ho gai hai
magar insan ki qimat ghaT rahi hai
jise sun kar dhaDakta tha mera dil
tere qadmon ki wo aahaT rahi hai
jahan ja kar hum aksar lauT aae
Dagar teri tarah panghaT rahi hai
isi mein gum hain meri aarzuen
tere mathe ki jo silwaT rahi hai
sukun-e-dil tha jis ka nam wo shai
na is karwaT na us karwaT rahi hai
koi puchhe jo tum se haal 'aqib'
kaho al-hamdu-lillah kaT rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.