ghunche kahin hain gul hain kahin baghban kahin
ġhunche kahīñ haiñ gul haiñ kahīñ bāġhbāñ kahīñ
hogā na aisā ujḌā huā gulsitāñ kahīñ
allah re husn-e-dost kī rānā.i-e-jamāl
ho jaa.e mahv-e-dīd na saarā jahāñ kahīñ
apne marīz-e-hijr kī kuchh lījiye ḳhabar
dam toḌ de na aap kā ab nīm-jāñ kahīñ
vāraftagī-e-zauq-e-mohabbat na pūchhiye
sajda kahīñ jabīñ hai kahīñ āstāñ kahīñ
mahfil meñ aa.e jaam jo mujh tak zahe-nasīb
baaqī na rah gayā ho mirā imtihāñ kahīñ
ġhairoñ se sunñe vaale mirī dāstān-e-ishq
ho merī dāstāñ na tirī dāstāñ kahīñ
ġhairoñ se rabt-o-zabt hai 'aslam' se be-ruḳhī
ye bhī vafā ke taur haiñ ai mehrbāñ kahīñ
ghunche kahin hain gul hain kahin baghban kahin
hoga na aisa ujDa hua gulsitan kahin
allah re husn-e-dost ki ranai-e-jamal
ho jae mahw-e-did na sara jahan kahin
apne mariz-e-hijr ki kuchh lijiye KHabar
dam toD de na aap ka ab nim-jaan kahin
waraftagi-e-zauq-e-mohabbat na puchhiye
sajda kahin jabin hai kahin aastan kahin
mahfil mein aae jam jo mujh tak zahe-nasib
baqi na rah gaya ho mera imtihan kahin
ghairon se sunne wale meri dastan-e-ishq
ho meri dastan na teri dastan kahin
ghairon se rabt-o-zabt hai 'aslam' se be-ruKHi
ye bhi wafa ke taur hain ai mehrban kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.