ghunche ko hai tere dahan ki hirs
ġhunche ko hai tire dahan kī hirs
seb ko hai tire zaqan kī hirs
ye nazākat kahāñ ye lutf kahāñ
hai saman ko jo us badan kī hirs
terī raftār vo kahāñ paa.e
dekhī bas āhū-e-ḳhutan kī hirs
gul se ai andalīb kah denā
na kare mere gul-badan kī hirs
hai qafas meñ bhī chain bulbul ko
hai tabī.ī magar chaman kī hirs
'ājiz' aisī milī hai ḳhush-goī
karte haiñ sab mire suḳhan kī hirs
ghunche ko hai tere dahan ki hirs
seb ko hai tere zaqan ki hirs
ye nazakat kahan ye lutf kahan
hai saman ko jo us badan ki hirs
teri raftar wo kahan pae
dekhi bas aahu-e-KHutan ki hirs
gul se ai andalib kah dena
na kare mere gul-badan ki hirs
hai qafas mein bhi chain bulbul ko
hai tabii magar chaman ki hirs
'ajiz' aisi mili hai KHush-goi
karte hain sab mere suKHan ki hirs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.