ghunche wahi hain gul wahi gulzar bhi wahi
ghunche wahi hain gul wahi gulzar bhi wahi
Shakeel Ahmad Shakeel
MORE BYShakeel Ahmad Shakeel
ġhunche vahī haiñ gul vahī gulzār bhī vahī
dast-e-junūñ sañbhalnā ki haiñ ḳhaar bhī vahī
haiñ intizār-e-sang meñ asmār be-shumār
aur inkisār se jhuke ashjār bhī vahī
ḳhush ho ke jhuum letī hai aksar to zindagī
lekin vufūr-e-ġham se hai bezār bhī vahī
hai shahryār jis ko na ho zar kī ehtiyāj
ahl-e-duval ke shahr meñ muḳhtār bhī vahī
mar mar ke jī rahā huuñ tire bod-o-qurb meñ
inkār bhī vahī tirā iqrār bhī vahī
kartā hai vo nasā.eh sadā amn kī magar
saare jahāñ se barsar-e-paikār bhī vahī
kyā hai 'shakīl' duniyā ki us kī nigāh meñ
jo sab ke kaam aatā hai be-kār bhī vahī
ghunche wahi hain gul wahi gulzar bhi wahi
dast-e-junun sanbhalna ki hain KHar bhi wahi
hain intizar-e-sang mein asmar be-shumar
aur inkisar se jhuke ashjar bhi wahi
KHush ho ke jhum leti hai aksar to zindagi
lekin wufur-e-gham se hai bezar bhi wahi
hai shahryar jis ko na ho zar ki ehtiyaj
ahl-e-duwal ke shahr mein muKHtar bhi wahi
mar mar ke ji raha hun tere bod-o-qurb mein
inkar bhi wahi tera iqrar bhi wahi
karta hai wo nasaeh sada amn ki magar
sare jahan se barsar-e-paikar bhi wahi
kya hai 'shakil' duniya ki us ki nigah mein
jo sab ke kaam aata hai be-kar bhi wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.