ghunchon ke tabassum par hum ghaur nahin karte
ghunchon ke tabassum par hum ghaur nahin karte
Naseem Shahjahanpuri
MORE BYNaseem Shahjahanpuri
ġhunchoñ ke tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
ḳhāmosh takallum par ham ġhaur nahīñ karte
Duube ki rahe kashtī dariyā-e-mohabbat meñ
tūfān o talātum par ham ġhaur nahīñ karte
kaliyoñ ke tabassum kī taqlīd to karte haiñ
anjām-e-tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
un ke ruḳh-e-tābāñ kī dekhī hai jhalak jab se
mehr o mah o anjum par ham ġhaur nahīñ karte
ġham ho ki ḳhushī donoñ yaksāñ haiñ mohabbat meñ
kuchh ashk o tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
jab tak ki mohabbat meñ dil dil se nahīñ miltā
nazroñ ke tasādum par ham ġhaur nahīñ karte
ash.ār-navāzī hī sheva hai 'nasīm' apnā
shā.ir ke tarannum par ham ġhaur nahīñ karte
ghunchon ke tabassum par hum ghaur nahin karte
KHamosh takallum par hum ghaur nahin karte
Dube ki rahe kashti dariya-e-mohabbat mein
tufan o talatum par hum ghaur nahin karte
kaliyon ke tabassum ki taqlid to karte hain
anjam-e-tabassum par hum ghaur nahin karte
un ke ruKH-e-taban ki dekhi hai jhalak jab se
mehr o mah o anjum par hum ghaur nahin karte
gham ho ki KHushi donon yaksan hain mohabbat mein
kuchh ashk o tabassum par hum ghaur nahin karte
jab tak ki mohabbat mein dil dil se nahin milta
nazron ke tasadum par hum ghaur nahin karte
ashaar-nawazi hi shewa hai 'nasim' apna
shair ke tarannum par hum ghaur nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.