ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log
ġhurbat kā ab mazāq uḌāne lage haiñ log
daulat ko sar kā taaj batāne lage haiñ log
tahzīb-e-shahr kitnī badal dī hai vaqt ne
apnī rivāyatoñ ko bhulāne lage haiñ log
allāh un kī aql kā pardā zarā haTā
phir apnī beTiyoñ ko jalāne lage haiñ log
had ho chukī hai ab to mire inkisār kī
kamtar samajh ke mujh ko satāne lage haiñ log
ilzām saarā apne muqaddar pe Daal kar
nākāmiyoñ ko apnī chhupāne lage haiñ log
sachchā.ī kā alam mire hāthoñ meñ dekh kar
bastī meñ kitnā shor machāne lage haiñ log
maujoñ se laḌte laḌte jo sāhil tak aa gayā
ehsān us pe apnā jatāne lage haiñ log
ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log
daulat ko sar ka taj batane lage hain log
tahzib-e-shahr kitni badal di hai waqt ne
apni riwayaton ko bhulane lage hain log
allah un ki aql ka parda zara haTa
phir apni beTiyon ko jalane lage hain log
had ho chuki hai ab to mere inkisar ki
kamtar samajh ke mujh ko satane lage hain log
ilzam sara apne muqaddar pe Dal kar
nakaamiyon ko apni chhupane lage hain log
sachchai ka alam mere hathon mein dekh kar
basti mein kitna shor machane lage hain log
maujon se laDte laDte jo sahil tak aa gaya
ehsan us pe apna jatane lage hain log
- Book : Kirdaar (Pg. 98)
- Author : Mohammed Ali Sahil
- Publication : Voice Publication (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.