ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch
ġhurbat ke ranj fāqa-kashī ke malāl khīñch
ai 'dāġh' par zamāne se dast-e-savāl khīñch
nāzuk bahut hai rishta-e-ulfat na TuuT jaa.e
itnā na apne aap ko ai mah-jamāl khīñch
ho jaa.e tū na tā.ir-e-dil kī tarah asiir
sayyād apnī samt ko āhista jaal khīñch
khīñchī thī jab musavvir-e-qudrat ne dil kī shakl
kahtā ye kaun tū na ise be-ḳhayāl khīñch
vo ThanDe ThanDe chain se ghar ko chale ga.e
le aur āh-e-sard dil-e-pur-malāl khīñch
nāseh qimār-gāh-e-mohabbat meñ jī na haar
dil ko lagā ke naf.a uThā ḳhuub maal khīñch
ai 'dāġh' jazb-e-ishq kī dekheñge ab kashish
kī us kashīda-rū ne to ham se kamāl khīñch
ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch
ai 'dagh' par zamane se dast-e-sawal khinch
nazuk bahut hai rishta-e-ulfat na TuT jae
itna na apne aap ko ai mah-jamal khinch
ho jae tu na tair-e-dil ki tarah asir
sayyaad apni samt ko aahista jal khinch
khinchi thi jab musawwir-e-qudrat ne dil ki shakl
kahta ye kaun tu na ise be-KHayal khinch
wo ThanDe ThanDe chain se ghar ko chale gae
le aur aah-e-sard dil-e-pur-malal khinch
naseh qimar-gah-e-mohabbat mein ji na haar
dil ko laga ke nafa uTha KHub mal khinch
ai 'dagh' jazb-e-ishq ki dekhenge ab kashish
ki us kashida-ru ne to hum se kamal khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.