gurez chhoḌ ki phaile hue haiñ baazū aa
matā-e-jism vahīñ rakh matā-e-jāñ tū aa
tujhe uThā.ūñ maiñ apne laboñ kī kashtī meñ
na dekh jānib-e-sāhil zarā lab-e-jū aa
utaar duuñ maiñ tire zehn kī tamām thakan
sañvār duuñ tire uljhe hue ye gesū aa
maiñ tujh ko le ke chalūñ āḳhirī sitāre tak
kahūñ utar ke zarā chāñd kī zamīñ chhū aa
pukārtā hai tujhe tār-tār pairāhan
gulāb-e-rang-e-mohabbat kī pahlī ḳhushbū aa
'sharīf' dekh ye be-āb manzaroñ kā dhuāñ
suhānī raat kā phailā huā hai jaadū aa
gurez chhoD ki phaile hue hain bazu aa
mata-e-jism wahin rakh mata-e-jaan tu aa
tujhe uThaun main apne labon ki kashti mein
na dekh jaanib-e-sahil zara lab-e-ju aa
utar dun main tere zehn ki tamam thakan
sanwar dun tere uljhe hue ye gesu aa
main tujh ko le ke chalun aaKHiri sitare tak
kahun utar ke zara chand ki zamin chhu aa
pukarta hai tujhe tar-tar pairahan
gulab-e-rang-e-mohabbat ki pahli KHushbu aa
'sharif' dekh ye be-ab manzaron ka dhuan
suhani raat ka phaila hua hai jadu aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.