ghurub hote hue do sitare aankhon mein
ġhurūb hote hue do sitāre āñkhoñ meñ
shikast-e-ḳhvāb ke haiñ isti.āre āñkhoñ meñ
phir us ke ba.ad kisī bhī palak amaañ na milī
vo roz-o-shab ki jo ham ne guzāre āñkhoñ meñ
ham āḳhir-e-shab-e-ummīd so bhī jaa.eñ magar
vo ḳhvāb-e-gum-shudgāñ kaun utāre āñkhoñ meñ
is ehtimām se rote haiñ tere dil-zadagāñ
ki bāhar āñkhoñ se dariyā kināre āñkhoñ meñ
ham apne chehre pe apnā hī dukh nahīñ rakhte
sab ahl-e-hijr ke haiñ goshvāre āñkhoñ meñ
vo kushtagān-e-pas-o-pesh an-kahe alfāz
jo bach ga.e the so vo bhī sidhāre āñkhoñ meñ
ghurub hote hue do sitare aankhon mein
shikast-e-KHwab ke hain istiare aankhon mein
phir us ke baad kisi bhi palak aman na mili
wo roz-o-shab ki jo hum ne guzare aankhon mein
hum aaKHir-e-shab-e-ummid so bhi jaen magar
wo KHwab-e-gum-shudgan kaun utare aankhon mein
is ehtimam se rote hain tere dil-zadagan
ki bahar aankhon se dariya kinare aankhon mein
hum apne chehre pe apna hi dukh nahin rakhte
sab ahl-e-hijr ke hain goshware aankhon mein
wo kushtagan-e-pas-o-pesh an-kahe alfaz
jo bach gae the so wo bhi sidhaare aankhon mein
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 546)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.