ghurur-e-ab-e-rawan tujhko mat ho gai hai
ġhurūr-e-āb-e-ravāñ tujh ko maat ho ga.ī hai
hamārī tishna-dahānī furāt ho ga.ī hai
kahāñ chale ga.e aao ḳhudā.ī farmāo
ki ḳhalq ek na.ī kā.enāt ho ga.ī hai
tumhāre ḳhvāboñ ko jaanā thā jā chuke lekin
tumhārī yaad bhī ḳhvāboñ ke saath ho ga.ī hai
ye ḳhuun ristī huī uñgliyāñ qalam apnā
ye ḳhushk āñkhoñ kī ḳhushkī davāt ho ga.ī hai
parinde apne gharoñ ko palaT chuke kab ke
chale bhī aao ki āñkhoñ meñ raat ho ga.ī hai
to ham se tum bhī na bologe ḳhair mat bolo
hamārī chāñd sitāroñ se baat ho ga.ī hai
ghurur-e-ab-e-rawan tujh ko mat ho gai hai
hamari tishna-dahani furaat ho gai hai
kahan chale gae aao KHudai farmao
ki KHalq ek nai kaenat ho gai hai
tumhaare KHwabon ko jaana tha ja chuke lekin
tumhaari yaad bhi KHwabon ke sath ho gai hai
ye KHun risti hui ungliyan qalam apna
ye KHushk aankhon ki KHushki dawat ho gai hai
parinde apne gharon ko palaT chuke kab ke
chale bhi aao ki aankhon mein raat ho gai hai
to hum se tum bhi na bologe KHair mat bolo
hamari chand sitaron se baat ho gai hai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 56)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.