ghurur-e-jaan ko mere yar bech dete hain
ġhurūr-e-jāñ ko mire yaar bech dete haiñ
qabā kī hirs meñ dastār bech dete haiñ
ye log kyā haiñ ki do-chār ḳhvāhishoñ ke liye
tamām umr kā pindār bech dete haiñ
junūn-e-zīnat-e-ārā.ish-e-makāñ ke liye
ka.ī makīñ dar-o-dīvār bech dete haiñ
zarā bhī nirḳh ho baalā to tājirān-e-haram
galīm o jubba o dastār bech dete haiñ
bas itnā farq hai yūsuf meñ aur mujh meñ 'farāz'
ki us ko ġhair mujhe yaar bech dete haiñ
ghurur-e-jaan ko mere yar bech dete hain
qaba ki hirs mein dastar bech dete hain
ye log kya hain ki do-chaar KHwahishon ke liye
tamam umr ka pindar bech dete hain
junun-e-zinat-e-araish-e-makan ke liye
kai makin dar-o-diwar bech dete hain
zara bhi nirKH ho baala to tajiran-e-haram
galim o jubba o dastar bech dete hain
bas itna farq hai yusuf mein aur mujh mein 'faraaz'
ki us ko ghair mujhe yar bech dete hain
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 702)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.