ghurur-e-katib-e-taqdir toD Dalte hain
ġhurūr-e-kātib-e-taqdīr toḌ Dālte haiñ
chalo ye ābla-e-baḳht phoḌ Dālte haiñ
jo ham ne dekhā use koī aur kyoñ dekhe
ham us ke jaate hī ā.īna toḌ Dālte haiñ
raqīb haiñ tire kūche ke sab sag-e-duniyā
jo 'āshiq aatā hai us ko bhañbhoḌ Dālte haiñ
bigaḌne dete nahīñ ham mohabbatoñ kā hisāb
makān-e-naf' ḳhasāroñ se toḌ Dālte haiñ
kare jo ek bhī nekī to us ke khāte meñ
ham apnī nekiyāñ lākhoñ karoḌ Dālte haiñ
na bach rahe kahīñ mā'nī ke nuur kī koī buuñd
ham apnā qāfiya itnā nichoḌ Dālte haiñ
hamārī niiñd se ham ko uThā nahīñ paate
ye zalzale jo zamīñ ko jhiñjhoḌ Dālte haiñ
sivā.e 'ishq kisī kaam ke nahīñ 'ehsās'
koī bhī kaam diyā jaa.e goḌ Dālte haiñ
ghurur-e-katib-e-taqdir toD Dalte hain
chalo ye aabla-e-baKHt phoD Dalte hain
jo hum ne dekha use koi aur kyon dekhe
hum us ke jate hi aaina toD Dalte hain
raqib hain tere kuche ke sab sag-e-duniya
jo 'ashiq aata hai us ko bhanbhoD Dalte hain
bigaDne dete nahin hum mohabbaton ka hisab
makan-e-naf' KHasaron se toD Dalte hain
kare jo ek bhi neki to us ke khate mein
hum apni nekiyan lakhon karoD Dalte hain
na bach rahe kahin ma'ni ke nur ki koi bund
hum apna qafiya itna nichoD Dalte hain
hamari nind se hum ko uTha nahin pate
ye zalzale jo zamin ko jhinjhoD Dalte hain
siwae 'ishq kisi kaam ke nahin 'ehsas'
koi bhi kaam diya jae goD Dalte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 116)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.