ghussa tum par to KHub aata hai
ġhussa tum par to ḳhuub aatā hai
kyā kareñ dil hai maan jaatā hai
apnī kamiyāñ vo dekh saktā nahīñ
bas mujhe aa.inā dikhātā hai
tere chehre ko din meñ sau sau baar
yaad kartī huuñ bhuul jaatā hai
maiñ zabāñ par kharī utartī huuñ
phir bhī vo mujh ko āzmātā hai
muddatoñ pahle kā jo hai bandhan
ishq vo aaj bhī nibhātā hai
terī bātoñ meñ tairtā hai dil
terī sāñsoñ meñ Duub jaatā hai
ab bhī us ke liye savāl huuñ maiñ
bas mujhe joḌtā ghaTātā hai
apne hī intizār meñ har shaam
vo diyā dvaar par jalātā hai
maiñ use yaad kartī rahtī huuñ
'anjanā' sher hotā jaatā hai
ghussa tum par to KHub aata hai
kya karen dil hai man jata hai
apni kamiyan wo dekh sakta nahin
bas mujhe aaina dikhata hai
tere chehre ko din mein sau sau bar
yaad karti hun bhul jata hai
main zaban par khari utarti hun
phir bhi wo mujh ko aazmata hai
muddaton pahle ka jo hai bandhan
ishq wo aaj bhi nibhata hai
teri baaton mein tairta hai dil
teri sanson mein Dub jata hai
ab bhi us ke liye sawal hun main
bas mujhe joDta ghaTata hai
apne hi intizar mein har sham
wo diya dwar par jalata hai
main use yaad karti rahti hun
'anjana' sher hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.