ghusse mein ek shaKHs ki mahfil gaya hai dil
ġhusse meñ ek shaḳhs kī mahfil gayā hai dil
sab kī ho ḳhair kyūñki mirā dil gayā hai dil
e'lān kar ke DhūñDne vāloñ ko rok do
kah do ki rāste meñ paḌā mil gayā hai dil
vaise tamām husn thā sarqe ke mood meñ
thā zer-e-lab jo le ke vahī til gayā hai dil
sarhad 'ubūr kar ke junūñ kī 'bilāl' jī
is baar aise dhaḌkā mirā chhil gayā hai dil
ghusse mein ek shaKHs ki mahfil gaya hai dil
sab ki ho KHair kyunki mera dil gaya hai dil
e'lan kar ke DhunDne walon ko rok do
kah do ki raste mein paDa mil gaya hai dil
waise tamam husn tha sarqe ke mood mein
tha zer-e-lab jo le ke wahi til gaya hai dil
sarhad 'ubur kar ke junun ki 'bilal' ji
is bar aise dhaDka mera chhil gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.