gunge bahre hain ye farman kahan sunte hain
gūñge bahre haiñ ye farmān kahāñ sunte haiñ
ai ḳhudā sun le ki insān kahāñ sunte haiñ
is zamāne meñ mohabbat kī zabāñ vāloñ ko
āñkheñ suntī haiñ bhalā kaan kahāñ sunte haiñ
laakh chīḳhā maiñ ki kachchā hai mirā ghar lekin
mauj meñ aa.e hoñ tūfān kahāñ sunte haiñ
tujh ko apnā hī samajh ke to sadā.eñ dī thiiñ
mujh ko ma.alūm thā anjān kahāñ sunte haiñ
un ke had darja taġhāful kā ye aalam tauba
ham pukāreñ bhī unheñ jaan kahāñ sunte haiñ
roz muflis kī sadā.eñ to udhar jaatī haiñ
ahd-e-hāzir ke ye sultān kahāñ sunte haiñ
ye koī gaañv nahīñ hai ki ḳhabar phailegī
shahr ke log haiñ elaan kahāñ sunte haiñ
gunge bahre hain ye farman kahan sunte hain
ai KHuda sun le ki insan kahan sunte hain
is zamane mein mohabbat ki zaban walon ko
aankhen sunti hain bhala kan kahan sunte hain
lakh chiKHa main ki kachcha hai mera ghar lekin
mauj mein aae hon tufan kahan sunte hain
tujh ko apna hi samajh ke to sadaen di thin
mujh ko malum tha anjaan kahan sunte hain
un ke had darja taghaful ka ye aalam tauba
hum pukaren bhi unhen jaan kahan sunte hain
roz muflis ki sadaen to udhar jati hain
ahd-e-hazir ke ye sultan kahan sunte hain
ye koi ganw nahin hai ki KHabar phailegi
shahr ke log hain elan kahan sunte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.