gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe
gūñge laboñ pe harf-e-tamannā kiyā mujhe
kis kor-chashm-shab meñ sitārā kiyā mujhe
zaḳhm-e-hunar ko samjhe hue hai gul-e-hunar
kis shahr-e-nā-sipās meñ paidā kiyā mujhe
jab harf-nā-shanās yahāñ lafz-fahm haiñ
kyuuñ zauq-e-sher de ke tamāshā kiyā mujhe
ḳhushbū hai chāñdnī hai lab-e-jū hai aur maiñ
kis be-panāh raat meñ tanhā kiyā mujhe
dī tishnagī ḳhudā ne to chashme bhī de diye
siine meñ dasht āñkhoñ meñ dariyā kiyā mujhe
maiñ yuuñ sambhal ga.ī ki tirī bevafā.ī ne
be-e'tibāriyoñ se shanāsā kiyā mujhe
vo apnī ek zaat meñ kul kā.enāt thā
duniyā ke har fareb se milvā diyā mujhe
auroñ ke saath merā ta.āruf bhī jab huā
hāthoñ meñ haath le ke vo sochā kiyā mujhe
biite dinoñ kā aks na ā.inda kā ḳhayāl
bas ḳhālī ḳhālī āñkhoñ se dekhā kiyā mujhe
gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe
kis kor-chashm-shab mein sitara kiya mujhe
zaKHm-e-hunar ko samjhe hue hai gul-e-hunar
kis shahr-e-na-sipas mein paida kiya mujhe
jab harf-na-shanas yahan lafz-fahm hain
kyun zauq-e-sher de ke tamasha kiya mujhe
KHushbu hai chandni hai lab-e-ju hai aur main
kis be-panah raat mein tanha kiya mujhe
di tishnagi KHuda ne to chashme bhi de diye
sine mein dasht aankhon mein dariya kiya mujhe
main yun sambhal gai ki teri bewafai ne
be-e'tibariyon se shanasa kiya mujhe
wo apni ek zat mein kul kaenat tha
duniya ke har fareb se milwa diya mujhe
auron ke sath mera taaruf bhi jab hua
hathon mein hath le ke wo socha kiya mujhe
bite dinon ka aks na aainda ka KHayal
bas KHali KHali aankhon se dekha kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.