gungi chiKHen banjh bhuk aur is bebas sannaTe mein
gūñgī chīḳheñ bāñjh bhuuk aur is bebas sannāTe meñ
ham ne apnī ġhazleñ khojīñ chūlhe chauke aaTe meñ
sab par ik ik sub.h luTāne ham sūraj le baiThe the
apnā kyā hai jo na aa.e vo hī rah ga.e ghāTe meñ
mahak uThe tere chhūne se ham par sab ko yahī lagā
chandan kī bhī ruuh chhupī hai is babūl ke kāñTe meñ
chor-uchakkoñ ke jai-kāroñ se gūñje un ke daure
aksar jebeñ kaTīñ hamārī un ke sair-sapāTe meñ
āzādī kī khaaT pe soī khādī kī ujlī nīñdeñ
gaañv kī dab ga.ī siskiyāñ dillī ke ḳharrāTe meñ
jahāñ kahīñ bhī kālak dekhī ham ne to bas vaar kiyā
par logoñ ko ġhazal nazar aatī hai apne chāñTe meñ
gungi chiKHen banjh bhuk aur is bebas sannaTe mein
hum ne apni ghazlen khojin chulhe chauke aaTe mein
sab par ek ek subh luTane hum suraj le baiThe the
apna kya hai jo na aae wo hi rah gae ghaTe mein
mahak uThe tere chhune se hum par sab ko yahi laga
chandan ki bhi ruh chhupi hai is babul ke kanTe mein
chor-uchakkon ke jai-karon se gunje un ke daure
aksar jeben kaTin hamari un ke sair-sapaTe mein
aazadi ki khaT pe soi khadi ki ujli ninden
ganw ki dab gai siskiyan dilli ke KHarraTe mein
jahan kahin bhi kalak dekhi hum ne to bas war kiya
par logon ko ghazal nazar aati hai apne chanTe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.