gunjti hai sada KHalaon mein
gūñjtī hai sadā ḳhalāoñ meñ
aadmī ghir gayā ḳhudāoñ meñ
maiñ nahīñ chāhtā rihā.ī magar
yuuñ na bikhrā mujhe havāoñ meñ
ik hathelī to merī apnī thī
dūsrī kis kī thī du'āoñ meñ
maiñ baḌī der se safar meñ huuñ
ab mujhe baiThne de chhāoñ meñ
maiñ tire saath Thahrtā lekin
rāsta paḌ gayā thā paañv meñ
maiñ palaT jā.ūñgā 'riyāz' magar
koī to muntazir ho gaañv meñ
gunjti hai sada KHalaon mein
aadmi ghir gaya KHudaon mein
main nahin chahta rihai magar
yun na bikhra mujhe hawaon mein
ek hatheli to meri apni thi
dusri kis ki thi du'aon mein
main baDi der se safar mein hun
ab mujhe baiThne de chhaon mein
main tere sath Thahrta lekin
rasta paD gaya tha panw mein
main palaT jaunga 'riyaz' magar
koi to muntazir ho ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.