guzarish kar saba KHidmat mein tu us la-ubaali ke
guzārish kar sabā ḳhidmat meñ tū us lā-ubālī ke
tire jaane se gul murjhā ga.e haiñ naqsh-e-qālī ke
mire āġhosh jab se uTh gayā hai to maiñ rotā huuñ
nahīñ thamte haiñ ashk-e-chashm tasvīr-e-nihālī ke
maiñ be-ḳhud huuñ mujhe ma.azūr rakh rone meñ ai saaqī
mirī chhātī bharī hai dard se mīnā-e-ḳhālī ke
tasavvur meñ tasadduq meñ huuñ maiñ us sham.a-rū uupar
haiñ goyā 'ishq' ham tasvīr-e-fānūs-e-ḳhayālī ke
guzarish kar saba KHidmat mein tu us la-ubaali ke
tere jaane se gul murjha gae hain naqsh-e-qali ke
mere aaghosh jab se uTh gaya hai to main rota hun
nahin thamte hain ashk-e-chashm taswir-e-nihaali ke
main be-KHud hun mujhe mazur rakh rone mein ai saqi
meri chhati bhari hai dard se mina-e-KHali ke
tasawwur mein tasadduq mein hun main us shama-ru upar
hain goya 'ishq' hum taswir-e-fanus-e-KHayali ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.