guzarne ko to sab zindagi guzarte hain
guzārne ko to sab zindagī guzārte haiñ
ham ahl-e-ishq ajab zindagī guzārte haiñ
fareb khāte chale jā rahe haiñ duniyā se
koī salīqa na Dhab zindagī guzārte haiñ
vo chand roz jo achchhe dinoñ se haiñ mausūm
na tab guzārī na ab zindagī guzārte haiñ
jinheñ qubūl nahīñ lamha bhar kī ham-safarī
hamāre saath vo kab zindagī guzārte haiñ
bhaTak rahe haiñ kisī dasht-e-be-karāñ meñ magar
ik aarzū ke sabab zindagī guzārte haiñ
guzarne ko to sab zindagi guzarte hain
hum ahl-e-ishq ajab zindagi guzarte hain
fareb khate chale ja rahe hain duniya se
koi saliqa na Dhab zindagi guzarte hain
wo chand roz jo achchhe dinon se hain mausum
na tab guzari na ab zindagi guzarte hain
jinhen qubul nahin lamha bhar ki ham-safari
hamare sath wo kab zindagi guzarte hain
bhaTak rahe hain kisi dasht-e-be-karan mein magar
ek aarzu ke sabab zindagi guzarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.