guzar auqat nahin ho pati
guzar auqāt nahīñ ho paatī
din se ab raat nahīñ ho paatī
saarī duniyā meñ bas ik tum se hī
ab mulāqāt nahīñ ho paatī
jo dhaḌaktī hai mire dil meñ kahīñ
ab vahī baat nahīñ ho paatī
jam.a kartā huuñ sar-e-chashm bahut
phir bhī barsāt nahīñ ho paatī
laakh mazmūñ lab-e-iz.hār pe haiñ
aur munājāt nahīñ ho paatī
haath meñ haath liye phirtī hai
ḳhatm ye raat nahīñ ho paatī
guzar auqat nahin ho pati
din se ab raat nahin ho pati
sari duniya mein bas ek tum se hi
ab mulaqat nahin ho pati
jo dhaDakti hai mere dil mein kahin
ab wahi baat nahin ho pati
jama karta hun sar-e-chashm bahut
phir bhi barsat nahin ho pati
lakh mazmun lab-e-izhaar pe hain
aur munajat nahin ho pati
hath mein hath liye phirti hai
KHatm ye raat nahin ho pati
- Book : Tumhe.n Jaanee kii jaldii thii (Pg. 74)
- Author : Ayub Khawar
- Publication : Al-Hamd Publications (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.