guzar gae jo wahi the hisab mein mere din
guzar ga.e jo vahī the hisāb meñ mire din
dil-e-shikasta tire pech-o-tāb meñ mire din
maiñ vaise ḳhud bhī zamāne ko thā bhulā.e hue
to kyoñ lage the mire ehtisāb meñ mire din
dabīz dhund meñ ik ranj-e-mustaqil thā mujhe
jo bah rahe the kisī aur baab meñ mire din
galī udaas thī aur do qadam thā mai-ḳhāna
bhaTak rahe the magar iztirāb meñ mire din
unheñ ḳhayāl kī rā'nā.iyoñ meñ honā thā
paḌe hue the kisī pech-o-tāb meñ mire din
mujhe vadī’at-e-be-intihā thī bahte hue
us ik nigah se baham the sharāb meñ mire din
khulī jo aañkh to kuchh aur hī haqīqat thī
ki ḳhvāb se nazar aa.e the ḳhvāb meñ mire din
guzar gae jo wahi the hisab mein mere din
dil-e-shikasta tere pech-o-tab mein mere din
main waise KHud bhi zamane ko tha bhulae hue
to kyon lage the mere ehtisab mein mere din
dabiz dhund mein ek ranj-e-mustaqil tha mujhe
jo bah rahe the kisi aur bab mein mere din
gali udas thi aur do qadam tha mai-KHana
bhaTak rahe the magar iztirab mein mere din
unhen KHayal ki ra'naiyon mein hona tha
paDe hue the kisi pech-o-tab mein mere din
mujhe wadi’at-e-be-intiha thi bahte hue
us ek nigah se baham the sharab mein mere din
khuli jo aankh to kuchh aur hi haqiqat thi
ki KHwab se nazar aae the KHwab mein mere din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.