guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui
guzar ga.ī hai mujhe reg-zār kartī huī
vo ek machhlī samundar shikār kartī huī
na jaane kitne bhañvar ko rulā ke aa.e hai
ye merī kashtī-e-jāñ ḳhud ko paar kartī huī
vo ek sā.at-e-ma.asūm dil kī parvarda
mukar ga.ī hai magar e'tibār kartī huī
junūñ kī āḳhirī larzīda muzmahil sī raat
jhapak ga.ī hai zarā intizār kartī huī
ye kaisī ḳhvāhish-e-nā-dīd hai dorāhe par
sahm ga.ī hai abhī mujh pe vaar kartī huī
lipaT ke so ga.ī āḳhir sham-e-firāq ke saath
shab-e-siyāh sitāre shumār kartī huī
safar meñ kaisī harārat qarīb thī 'ḳhurshīd'
utar ga.ī hai mujhe dhār-dār kartī huī
guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui
wo ek machhli samundar shikar karti hui
na jaane kitne bhanwar ko rula ke aae hai
ye meri kashti-e-jaan KHud ko par karti hui
wo ek saat-e-masum dil ki parwarda
mukar gai hai magar e'tibar karti hui
junun ki aaKHiri larzida muzmahil si raat
jhapak gai hai zara intizar karti hui
ye kaisi KHwahish-e-na-did hai dorahe par
sahm gai hai abhi mujh pe war karti hui
lipaT ke so gai aaKHir sham-e-firaq ke sath
shab-e-siyah sitare shumar karti hui
safar mein kaisi hararat qarib thi 'KHurshid'
utar gai hai mujhe dhaar-dar karti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.