guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai
guzar gayā jo nazar se nazar kā hissa hai
shajar se uḌtā parinda shajar kā hissa hai
tumhārā dard agar dard-e-nā-rasā.ī hai
tumhārā dard hamāre jigar kā hissa hai
na vo tumhāre yahāñ hai na vo hamāre yahāñ
udaas chūlhā kaho kis ke ghar kā hissa hai
jahāñ ke log ḳhudā ke karam pe zinda haiñ
ilāqa vo bhī hamāre nagar kā hissa hai
safar safar hai safar meñ paḌāv kyā ma.anī
tirā vajūd tirī rahguzar kā hissa hai
banā rahe jo hamesha vo ghar banā hī nahīñ
makāñ tumhārā tumhāre safar kā hissa hai
guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai
shajar se uDta parinda shajar ka hissa hai
tumhaara dard agar dard-e-na-rasai hai
tumhaara dard hamare jigar ka hissa hai
na wo tumhaare yahan hai na wo hamare yahan
udas chulha kaho kis ke ghar ka hissa hai
jahan ke log KHuda ke karam pe zinda hain
ilaqa wo bhi hamare nagar ka hissa hai
safar safar hai safar mein paDaw kya mani
tera wajud teri rahguzar ka hissa hai
bana rahe jo hamesha wo ghar bana hi nahin
makan tumhaara tumhaare safar ka hissa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.