guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua
guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri
MORE BYPundit Amar Nath Hoshiyarpuri
guzar jahāñ ke ḳhanjar-e-do-dam se kheltā huā
ḳhushī se kheltā huā alam se kheltā huā
havā-e-dair-o-ka.aba-o-haram se daur-daura
havā-e-dair-o-ka.aba-o-haram se kheltā huā
kisī ke gesuoñ ke pech-o-ḳham kā ho ke rah gayā
kisī ke gesuoñ ke pech-o-ḳham se kheltā huā
nigāh-e-mast meñ jahān-bhar kī mastiyāñ liye
vo kaun aa rahā hai jām-e-jam se kheltā huā
tamām-umr khelte rahe qazā kī god meñ hamīñ
ye kyā mazāq kar gayā tū ham se kheltā huā
bulandiyoñ ko pastiyoñ ko rauñdtā chalā gayā
hañsī-ḳhushī tumhāre har qadam se kheltā huā
abhī to reñgtā huā adam ko jā rahā huuñ maiñ
phir ulTe paañv ā.ūñgā adam se kheltā huā
guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua
KHushi se khelta hua alam se khelta hua
hawa-e-dair-o-kaba-o-haram se daur-daura
hawa-e-dair-o-kaba-o-haram se khelta hua
kisi ke gesuon ke pech-o-KHam ka ho ke rah gaya
kisi ke gesuon ke pech-o-KHam se khelta hua
nigah-e-mast mein jahan-bhar ki mastiyan liye
wo kaun aa raha hai jam-e-jam se khelta hua
tamam-umr khelte rahe qaza ki god mein hamin
ye kya mazaq kar gaya tu hum se khelta hua
bulandiyon ko pastiyon ko raundta chala gaya
hansi-KHushi tumhaare har qadam se khelta hua
abhi to rengta hua adam ko ja raha hun main
phir ulTe panw aaunga adam se khelta hua
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 163)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.