guzar ke ishq ki had se bhi kuchh ye aalam hai
guzar ke ishq kī had se bhī kuchh ye aalam hai
ki jaise ishq abhī un ke husn se kam hai
adū kā ghar hai tirī raah meñ to kyā ġham hai
sunā hai ḳhuld ke raste meñ bhī jahannam hai
ye vaqt kal na rahegā raheñge yaad ye din
sitam kī umr ziyāda hai zindagī kam hai
vo apne zulm se ḳhud bhī na rah sake mahfūz
jabīñ par aaj na bal hai na zulf meñ ḳham hai
ibādatoñ ke liye fursateñ haiñ logoñ ko
hameñ gunāh bhī karne ko zindagī kam hai
guzar ke ishq ki had se bhi kuchh ye aalam hai
ki jaise ishq abhi un ke husn se kam hai
adu ka ghar hai teri rah mein to kya gham hai
suna hai KHuld ke raste mein bhi jahannam hai
ye waqt kal na rahega rahenge yaad ye din
sitam ki umr ziyaada hai zindagi kam hai
wo apne zulm se KHud bhi na rah sake mahfuz
jabin par aaj na bal hai na zulf mein KHam hai
ibaadaton ke liye fursaten hain logon ko
hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.