guzar raha tha main jab pa-shikasta taef se
guzar rahā thā maiñ jab pā-shikasta taa.ef se
jarī bhī saare dikhā.ī diye the ḳhā.if se
ye sher ranj-o-alam kā ajiib nusḳha haiñ
balā.eñ Tālte haiñ ham inhī vazā.if se
bahut qarīne se malfūf haiñ mizha meñ ashk
bahaltī rahtī haiñ āñkheñ tire tahā.if se
hamāre dard kī tafsīl meñ gayā hī nahīñ
vo āshnā huā do-chār hī kavā.if se
so ham ko naġhma-e-duniyā bhī kyā bhalā lagtā
ki dil lagā nahīñ apnā kuchh us tavā.if se
vo ajnabī thā magar jaan hī gayā 'tāriq'
mire fasāna-e-ġham ko mire latāif se
guzar raha tha main jab pa-shikasta taef se
jari bhi sare dikhai diye the KHaif se
ye sher ranj-o-alam ka ajib nusKHa hain
balaen Talte hain hum inhi wazaif se
bahut qarine se malfuf hain mizha mein ashk
bahalti rahti hain aankhen tere tahaif se
hamare dard ki tafsil mein gaya hi nahin
wo aashna hua do-chaar hi kawaif se
so hum ko naghma-e-duniya bhi kya bhala lagta
ki dil laga nahin apna kuchh us tawaif se
wo ajnabi tha magar jaan hi gaya 'tariq'
mere fasana-e-gham ko mere lataif se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.