guzar rahi hai judai jo tujh pe shaq to dekh
guzar rahī hai judā.ī jo tujh pe shaaq to dekh
kabhī kabhī tū varā-e-had-e-firāq to dekh
mirī talab na sahī merā ishtiyāq to dekh
ibāratoñ se pare aa zarā siyāq to dekh
judā haiñ jism hamāre judā haiñ rañg-o-ravish
tū un ko chhoḌ ke rūhoñ kā ittisāq to dekh
tū iḳhtilāf kī saarī hadeñ bhulā to sahī
tū iḳhtilāf pe ham sab kā ittifāq to dekh
kaTe hai vaqt bhale mujh ko kaaT kar hī kaTe
aTuuT ġham hai ġhamoñ kā ye tumtarāq to dekh
vo hai marīz jo har dam matīn rahtā hai
kabhī mizāh to sun aur kabhī mazāq to dekh
vo mīThe bol haqīqat meñ zahr-e-qātil haiñ
tū is naqāb ke pīchhe chhupā nifāq to dekh
ye hijr hijr nahīñ hai koī qayāmat hai
ye chashm-e-tar na sahī dil kā inshiqāq to dekh
hue haiñ husn ke virsā tamām begāne
hai ḳhālī haath ye kāshif 'shakīl' aaq to dekh
guzar rahi hai judai jo tujh pe shaq to dekh
kabhi kabhi tu wara-e-had-e-firaq to dekh
meri talab na sahi mera ishtiyaq to dekh
ibaraton se pare aa zara siyaq to dekh
juda hain jism hamare juda hain rang-o-rawish
tu un ko chhoD ke ruhon ka ittisaq to dekh
tu iKHtilaf ki sari haden bhula to sahi
tu iKHtilaf pe hum sab ka ittifaq to dekh
kaTe hai waqt bhale mujh ko kaT kar hi kaTe
aTuT gham hai ghamon ka ye tumtaraq to dekh
wo hai mariz jo har dam matin rahta hai
kabhi mizah to sun aur kabhi mazaq to dekh
wo miThe bol haqiqat mein zahr-e-qatil hain
tu is naqab ke pichhe chhupa nifaq to dekh
ye hijr hijr nahin hai koi qayamat hai
ye chashm-e-tar na sahi dil ka inshiqaq to dekh
hue hain husn ke wirsa tamam begane
hai KHali hath ye kashif 'shakil' aaq to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.