guzarta hai mera har din magar pura nahin hota
guzartā hai mirā har din magar puurā nahīñ hotā
maiñ chaltā jā rahā huuñ aur safar puurā nahīñ hotā
ye kaisī niiñd hai jo thak ke mujh meñ Tuut jaatī hai
ye kaisā ḳhvāb hai jo rāt-bhar puurā nahīñ hotā
ye merā ḳhālī-pan hai jo mujhe labrez kartā hai
udhar rahtā huuñ maiñ ḳhud meñ jidhar puurā nahīñ hotā
ḳhudā bhī ḳhuub hai bhagvān kī mūrat bhī sundar hai
magar jab maañ nahīñ hotī to ghar puurā nahīñ hotā
vo choTī kī banāvaT ho ki Topī kī sajāvaT ho
binā insāniyat ke koī sar puurā nahīñ hotā
lagānā baaġh to us meñ mohabbat bhī zarā rakhnā
parindoñ ke binā koī shajar puurā nahīñ hotā
banānā pattharoñ ko kaaT kar chehra hunar to hai
na bole jab talak chehra hunar puurā nahīñ hotā
guzarta hai mera har din magar pura nahin hota
main chalta ja raha hun aur safar pura nahin hota
ye kaisi nind hai jo thak ke mujh mein Tut jati hai
ye kaisa KHwab hai jo raat-bhar pura nahin hota
ye mera KHali-pan hai jo mujhe labrez karta hai
udhar rahta hun main KHud mein jidhar pura nahin hota
KHuda bhi KHub hai bhagwan ki murat bhi sundar hai
magar jab man nahin hoti to ghar pura nahin hota
wo choTi ki banawaT ho ki Topi ki sajawaT ho
bina insaniyat ke koi sar pura nahin hota
lagana bagh to us mein mohabbat bhi zara rakhna
parindon ke bina koi shajar pura nahin hota
banana pattharon ko kaT kar chehra hunar to hai
na bole jab talak chehra hunar pura nahin hota
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 106)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.