guzarte lamhe bahut kuchh sikha gae mujhko
guzarte lamhe bahut kuchh sikhā ga.e mujh ko
maiñ ek zarra thā sūraj banā ga.e mujh ko
hazār ranj-o-masā.ib the aur maiñ tanhā
ġham-o-alam ke ye ifrīt khā ga.e mujh ko
maiñ apne aap ko bhūlā huā thā barsoñ se
ye aa.ine mirī sūrat dikhā ga.e mujh ko
guzarte lamhe bahut kuchh sikha gae mujh ko
main ek zarra tha suraj bana gae mujh ko
hazar ranj-o-masaib the aur main tanha
gham-o-alam ke ye ifrit kha gae mujh ko
main apne aap ko bhula hua tha barson se
ye aaine meri surat dikha gae mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.