guzarte waqt ki koi nishani sath rakhta hun
guzarte vaqt kī koī nishānī saath rakhtā huuñ
ki maiñ Thahrāv meñ bhī ik ravānī saath rakhtā huuñ
samajh meñ ḳhud mirī aatā nahīñ hālāt kā chakkar
makāñ rakhtā nahīñ huuñ lā-makānī saath rakhtā huuñ
guzarnā hai mujhe kitne ġhubār-ālūd rastoñ se
so apnī aañkh meñ thoḌā sā paanī saath rakhtā huuñ
fanā honā agar likkhā gayā hai mere hone meñ
to maiñ tujh ko bhī ai duniyā-e-fānī saath rakhtā huuñ
guzarte waqt ki koi nishani sath rakhta hun
ki main Thahraw mein bhi ek rawani sath rakhta hun
samajh mein KHud meri aata nahin haalat ka chakkar
makan rakhta nahin hun la-makani sath rakhta hun
guzarna hai mujhe kitne ghubar-alud raston se
so apni aankh mein thoDa sa pani sath rakhta hun
fana hona agar likkha gaya hai mere hone mein
to main tujh ko bhi ai duniya-e-fani sath rakhta hun
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 645)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.