guzarte waqt ko buniyaad karne wala hun
guzarte vaqt ko buniyād karne vaalā huuñ
jo sab bhulāte haiñ vo yaad karne vaalā huuñ
maiñ vo nahīñ huuñ ki fariyād karne vaalā huuñ
sukūt ko suḳhan-ījād karne vaalā huuñ
añdherī raat aur us par mire charāġh kā zo.am
ujaḌtī bazm ko ābād karne vaalā huuñ
maiñ apnā kār-e-vafā āzmā.ūñgā phir bhī
kahāñ maiñ tere sitam yaad karne vaalā huuñ
maiñ andalīb huuñ ik gulshan-e-mohabbat kā
so maiñ bhī kuchh mire sayyād karne vaalā huuñ
guzarte waqt ko buniyaad karne wala hun
jo sab bhulate hain wo yaad karne wala hun
main wo nahin hun ki fariyaad karne wala hun
sukut ko suKHan-ijad karne wala hun
andheri raat aur us par mere charagh ka zoam
ujaDti bazm ko aabaad karne wala hun
main apna kar-e-wafa aazmaunga phir bhi
kahan main tere sitam yaad karne wala hun
main andalib hun ek gulshan-e-mohabbat ka
so main bhi kuchh mere sayyaad karne wala hun
- Book : Aazkar (Pg. 134)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
- Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
- Edition : issue:23 April,May,June-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.