guzishta KHwab ke manzar satane lagte hain
guzishta ḳhvāb ke manzar satāne lagte haiñ
bhulā.eñ kaise vo āñkhoñ meñ aane lagte haiñ
larazte kāñpte hoñToñ pe us ke naam mirā
ye baat mujh se vo aksar chhupāne lagte haiñ
bhulā.ūñ kaise maiñ biite dinoñ kī yaad bhalā
kitāb-e-dil ke varaq phaḌphaḌāne lagte haiñ
bahār aane ko aa.ī hai gulsitāñ meñ magar
ye phuul phuul badan dil jalāne lagte haiñ
ḳhudā bachā.e unheñ āfatoñ ke jhaTke se
jo dekhte hī mujhe muskurāne lagte haiñ
guzishta KHwab ke manzar satane lagte hain
bhulaen kaise wo aankhon mein aane lagte hain
larazte kanpte honTon pe us ke nam mera
ye baat mujh se wo aksar chhupane lagte hain
bhulaun kaise main bite dinon ki yaad bhala
kitab-e-dil ke waraq phaDphaDane lagte hain
bahaar aane ko aai hai gulsitan mein magar
ye phul phul badan dil jalane lagte hain
KHuda bachae unhen aafaton ke jhaTke se
jo dekhte hi mujhe muskurane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.