guzishta KHwab ki tabir mein laga hua tha
guzishta ḳhvāb kī ta.abīr meñ lagā huā thā
maiñ us ko chhūne kī tadbīr meñ lagā huā thā
banā sabab vahī maqbūliyat kā logoñ meñ
vo ek daaġh jo tasvīr meñ lagā huā thā
kisī ke jism ne mujh ko bahut sadā.eñ diiñ
magar maiñ ruuh kī tasḳhīr meñ lagā huā thā
usī ne tīrgī baḳhshī hai merī āñkhoñ ko
maiñ jis charāġh kī ta.amīr meñ lagā huā thā
guzishta KHwab ki tabir mein laga hua tha
main us ko chhune ki tadbir mein laga hua tha
bana sabab wahi maqbuliyat ka logon mein
wo ek dagh jo taswir mein laga hua tha
kisi ke jism ne mujh ko bahut sadaen din
magar main ruh ki tasKHir mein laga hua tha
usi ne tirgi baKHshi hai meri aankhon ko
main jis charagh ki tamir mein laga hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.